Natiq Lakhnavi

hai wahi naz-afrin aaina-e-niyaz mein

Natiq Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1878-1950
hai vahī nāz-āfrīñ ā.īna-e-niyāz meñ
jis kī ziyā hai soz meñ jis kī sadā hai saaz meñ
apne niyāz-mand hai parde kī rasm-o-rāh hai
varna hijāb ko kahāñ daḳhl harīm-e-nāz meñ
sajde meñ mar gayā agar phir na uThegā hashr tak
qaid na rakhiye vaqt kī mere liye namāz meñ
naaz ko nuur kar diyā sarvar-e-kā.ināt ne
vo jo lagī thī tuur par aa ke bujhī hijāz meñ
'nātiq' soḳhta-jigar dil pe to haath rakh zarā
ab ke bhī kuchh chamak sī thī nāla-e-jāñ-gudāz meñ
Top Urdushayar.com