qaid meñ bhī hai junūñ dast-o-garebāñ ham se
aa ke ḳhalvat meñ bhī miltā hai bayābāñ ham se
qais saudā-e-ġham-e-gesū-e-lailā ke liye
le gayā chand ḳhayālāt-e-pareshāñ ham se
ishq meñ itnā zamāna hameñ guzrā hai ki log
pūchhte aate haiñ is dard kā darmāñ ham se
koī nāqūs-o-jaras kī nahīñ kartā fariyād
ham jo nālāñ haiñ to har shaḳhs hai nālāñ ham se
haal kā apne hameñ ilm nahīñ un ko hai
raaz rakhte haiñ hamārā bhī vo pinhāñ ham se
qaid-e-ġham se hai rihā.ī bahut āsāñ 'nātiq'
sharm is kī hai ki vābasta hai zindāñ ham se