Natiq Lakhnavi

partaw-e-nur bhi hai jauhar-e-tanwir bhi hai

Natiq Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1878-1950
partav-e-nūr bhī hai jauhar-e-tanvīr bhī hai
aa.ina bhī hai mirā dil tirī tasvīr bhī hai
zahr hai sab ke liye zahar-e-mohabbat lekin
agar aa jaa.e muāfiq to phir iksīr bhī hai
mujrim-e-ishq huuñ qātil kā maiñ ai dāvar-e-hashr
saaf to ye hai ki is meñ mirī taqsīr bhī hai
kis qadar sarfa nigāhoñ kā huā ġhairoñ meñ
kahiye ab aap ke tarkash meñ koī tiir bhī hai
kyuuñ kiyā kartā hai to sam.a-ḳharāshī 'nātiq'
sher kahtā hai to kuchh sher meñ tāsīr bhī hai
Top Urdushayar.com