Fawad Ahmad

uski gali mein zarf se baDh kar mila mujhe

Fawad Ahmad

Pakistan

1951
us kī galī meñ zarf se baḌh kar milā mujhe
ik pyāla justujū thī samundar milā mujhe
maiñ chal paḌā thā aur kisī shāhrāh par
ḳhanjar-ba-dast yādoñ kā lashkar milā mujhe
dariyā-e-shab se paar utarnā muhāl thā
TuuTā huā safīna-e-ḳhāvar milā mujhe
tāroñ meñ us kā aks hai phūloñ meñ us kā rañg
maiñ jis taraf gayā mirā dilbar milā mujhe
har zarra bā-kamāl hai har pattā be-misāl
duniyā meñ ḳhud se koī na kam-tar milā mujhe
kab se bhaTak rahā huuñ maiñ is dasht meñ magar
ḳhud se kabhī milā na tirā dar milā mujhe
hotā nahīñ hai tujh pe kisī baat kā asar
lagtā hai tere ruup meñ patthar milā mujhe
be-kaif kaT rahī thī musalsal ye zindagī
phir ḳhvāb meñ vo ḳhvāb sā paikar milā mujhe
is baat par karūñgā maiñ din raat ehtijāj
kis jurm meñ ye ḳhaak kā bistar milā mujhe
mujh ko nahīñ rahī kabhī manzar kī justujū
ghar ke qarīb kū-e-sitamgar milā mujhe
jab tak rahā maiñ ḳhud meñ bhaTaktā rahā yahāñ
jab ḳhud ko kho diyā to tirā dar milā mujhe
miTTī meñ DhūñDtā huā kuchh būḌhā āsmāñ
maiñ jis taraf gayā yahī manzar milā mujhe
karte haiñ log husn se yaañ nā-ravā sulūk
rote hue hamesha gul-e-tar milā mujhe
Top Urdushayar.com