mire muqaddar meñ jo likhā thā nasīb se vo pahuñch na paayā
girā to thā āsmān se kuchh khajūr meñ rah gayā aTak kar
musībat aa to ga.ī thī lekin huī vo aap ulTe paañv ruḳhsat
lagā jo thā zindagī kā kāñTā nikal gayā chaar din khaTak kar
vahāñ haiñ ab ham ki kyā batā.eñ vo pech-o-ḳham haiñ ki kuchh na pūchho
ye chaal rāh-e-talab kī dekho ki chal rahī hai maTak maTak kar
ye kaisī vahshat-asar ḳhabar hai patā to ai bāġhbāñ lagānā
khaḌe hue kaan kyuuñ guloñ ke kalī ne kyā kah diyā chaTak kar
kiyā jo Dar Dar ke arz-e-matlab to mujh se ye kah diyā unhoñ ne
sabaq nahīñ yaad abhī ye tum ko sunā rahe ho aTak aTak kar
ḳhud apnā rasta sudhār 'nātiq' na fikr kar shaiḳh-o-barahman kī
vahīñ to jaate haiñ rāste sab koī kahāñ jā.egā bhaTak kar