mujh se afsurda na ai josh-e-bahārāñ honā
kaif meñ bhuul gayā chāk-garebāñ honā
jab bikhar jaatī hai zulf aur nikhar jaatī hai
mujh ko jam.īyat-e-ḳhātir hai pareshāñ honā
zarra zarra hai tajallī se laḌā.e hue aañkh
kis qayāmat kī numā.ish hai ye pinhāñ honā
duur haiñ tujh se abhī nuur ke zarre har-sū
ai mirī ḳhaak zarā aur pareshāñ honā
hasrat-e-dīd ne ā.īna banāyā dil ko
ain nazzāra hai nazzāre kā armāñ honā
husn har shai ko diyā ishq milā har dil ko
taaki āsān ho insān kā insāñ honā
ḳhuub hotā hai numāyāñ suḳhan-e-'nātiq' se
misl-e-ma.anī tirā har lafz meñ pinhāñ honā