havā ne chhīn liyā aa ke mere hoñToñ se
vo ek giit jo maiñ gungunā rahā thā abhī
vo jā ke niind ke pahlū meñ mujh se chhupne lagā
maiñ us ko apnī kahānī sunā rahā thā abhī
ki dil meñ aa ke nayā tiir ho gayā paivast
purānā zaḳhm maiñ us ko dikhā rahā thā abhī
baras rahī thī zamīñ par ajiib madhoshī
na jaane kaun fazāoñ meñ gā rahā thā abhī
ufuq ke paar ye Duubā hai kis tarah sūraj
yahīñ pe baiTh ke bāteñ banā rahā thā abhī
uThā ke dhuup ne ghar se mujhe nikāl diyā
maiñ intizār kī sham.eñ jalā rahā thā abhī
jo sab ko hañsne kī talqīn kartā rahā hai
vo mere sāmne aañsū bahā rahā thā abhī
vo jis kā naam paḌā hai ḳhamosh logoñ meñ
yahāñ pe lafzoñ ke dariyā bahā rahā thā abhī