Khalid Mahboob

tum ye samajh rahe the nishane pe aa gaya

Khalid Mahboob

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1982
tum ye samajh rahe the nishāne pe aa gayā
maiñ ghūm-phir ke apne Thikāne pe aa gayā
darbān se ulajhne kā ye fā.eda huā
bāhar vo mere shor machāne pe aa gayā
tārīf us ke kaam kī mahñgī paḌī mujhe
vo shaḳhs apne daam baḌhāne pe aa gayā
tasvīr us kī ghar meñ lagāne kī der thī
mālik-makān mujh ko uThāne pe aa gayā
phir yuuñ huā ki pyaas hī 'mahbūb' mar ga.ī
jis vaqt maiñ kueñ ke dahāne pe aa gayā
Top Urdushayar.com