ḳhush haiñ bachche nāshta maujūd hai
ghar meñ khānā raat kā maujūd hai
tum chale jāoge to dekheñge ham
kyā nahīñ hai aur kyā maujūd hai
baat merī tum samajh sakte nahīñ
ghar meñ kyā koī baḌā maujūd hai
dil dhaḌaktā hai tumhāre naam par
aaj bhī ye silsila maujūd hai
vāsta dūñgā na apne pyaar kā
jaanā hai to rāsta maujūd hai
mujh ko ta.ana bevafā.ī kā na deñ
āḳhirī ḳhat aap kā maujūd hai
baat jo us meñ nahīñ bantī miyāñ
dūsrā bhī qāfiya maujūd hai