tumhāre liye muskurātī sahar hai
hamāre liye raat kā ye nagar hai
akele yahāñ baiTh kar kyā kareñge
bulāyā hai jis ne hameñ vo kidhar hai
pareshāñ huuñ kis kis kā surma banā.ūñ
yahāñ to har ik kī usī par nazar hai
ujālā haiñ ruḳhsār jaadū haiñ āñkheñ
ba-zāhir vo sab kī tarah ik bashar hai
vo jis ne hamesha hameñ dukh diye haiñ
tamāsha to ye hai vahī chārāgar hai
nikal kar vahāñ se kahīñ dil na Thahrā
bichāra abhī tak yahāñ dar-ba-dar hai
kisī din ye patthar bhī bāteñ karegā
mohabbat kī nazroñ meñ itnā asar hai
jo palkoñ se gir jaa.e aañsū kā qatra
jo palkoñ meñ rah jā.egā vo guhar hai
vo zillat vo ḳhvārī bhī us ke sabab thī
mohabbat kā sehra bhī us dil ke sar hai
koī aa rahā hai koī jā rahā hai
samajhte haiñ duniyā ko ḳhāla kā ghar hai
na koī payām us kī jānib se aayā
na miltā kahīñ ab mirā nāma-bar hai