yuuñ hirāsāñ haiñ musāfir bastiyoñ ke darmiyāñ
ho ga.ī ho shaam jaise jañgaloñ ke darmiyāñ
zindagī se ab yahī do-chār pal kā saath hai
pāniyoñ se aa gayā huuñ daldaloñ ke darmiyāñ
chaar jānib phailte hī jā rahe haiñ regzār
tishnagī hī tishnagī hai ḳhvāhishoñ ke darmiyāñ
dekhte hī dekhte aapas meñ dushman ho ga.e
ḳhuun kā dariyā ravāñ hai bhā.iyoñ ke darmiyāñ
ab to is kī zad meñ hai saarā nagar aayā huā
vo bhī din the sail thā jab sāhiloñ ke darmiyāñ
adh-khulī āñkheñ haiñ 'ḳhāvar' aur sāñsoñ kā azaab
laash kī sūrat paḌā huuñ kargasoñ ke darmiyāñ