Khaqan Khavar

har ek lamha hai mujh pe tari KHayal tera

Khaqan Khavar

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935-2001
har ek lamha hai mujh pe taarī ḳhayāl terā
maiñ ik parinda muhīt jis par hai jaal terā
bichhaḌ ke kunj apnī Daar se bain kar rahī hai
judā hai tū ham se jaane kyā hogā haal terā
ye ek Tahnī hai merā maskan na chhīn mujh se
havā-e-sarkash junūb terā shumāl terā
jo sabz patte the Dhaal terī vo jhaḌ ga.e haiñ
salīb-shāḳhoñ pe jhūltā hai zavāl terā
lahū kī kirnoñ se shab ko chhalnī kiyā hai tū ne
rahegā sūraj kī tarah raushan kamāl terā
Top Urdushayar.com