shāḳh se patte parinde āshiyāñ se jā chuke
kaisī rut hai sab makīñ apne makāñ se jā chuke
maiñ ḳhalāoñ meñ bhaTakne ko akelā rah gayā
mere sāthī chāñd-tāre āsmāñ par jā chuke
ḳhushk patte uḌte phirte haiñ yahāñ ab jā-ba-jā
rañg-o-nik.hat ke musāfir gulsitāñ tak jā chuke
tere qaabū meñ the jab tere the ab tere nahīñ
uḌ ke ab alfāz ke panchhī zabāñ se jā chuke
kah rahe haiñ dard meñ Duube hue dīvār-o-dar
DhūñDte phirte ho jin ko tum yahāñ se jā chuke
zindagī meñ dekhne the ye bhī din 'ḳhāvar' hameñ
jo kabhī bichhḌe na the vahm-o-gumāñ se jā chuke