kabūtar jis taraf se aa rahā hai
udhar tīroñ kā lashkar jā rahā hai
badan kirnoñ kā mailā ho na jaa.e
fazā meñ vo dhuāñ phailā rahā hai
hamāre kal ko mahkānā hai us ne
magar vo phuul to murjhā rahā hai
ye merī laash ko sāhil pe rakh kar
samundar kis taraf ko jā rahā hai
maiñ kho jaatā kahīñ zulmat meñ lekin
mujhe rasta koī dikhlā rahā hai
nahīñ pīchhe bhī muḌ ke maiñ ne dekhā
ye merā jism kyuuñ pathrā rahā hai
koī ziina to paañv meñ hai 'ḳhāvar'
jo is tezī se uupar jā rahā hai