Khaqan Khavar

kaT raha hun ek ik din aazar ke sath

Khaqan Khavar

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935-2001
kaaT rahā huuñ ik ik din āzār ke saath
jaise raat guzartī hai bīmār ke saath
shohrat tanhā tai kartī hai raste ko
uḌ kar phuul nahīñ jaatā mahkār ke saath
hijr kā mausam le kar sūraj niklā hai
barf lipaT kar rotī hai kohsār ke saath
ghar kī har shai terī yaad dilātī hai
dhyān meñ chiḌiyā aa jaa.e chahkār ke saath
ek hī jhoñkā bikhrā degā pattoñ ko
kab tak mil kar baiTheñge dīvār ke saath
vaqt ne likh kar kaaT diye haiñ un ke naam
jin kā sikka chaltā thā talvār ke saath
'ḳhāvar' kyā kyā shakleñ bantī rahtī haiñ
tanhā.ī meñ yādoñ kī parkār ke saath
Top Urdushayar.com