Khaqan Khavar

tere sitam ki zamana duhai deta hai

Khaqan Khavar

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935-2001
tire sitam kī zamāna duhā.ī detā hai
kabhī ye shor tujhe bhī sunā.ī detā hai
shajar se TūTne vaale har ek patte meñ
tire bichhaḌne kā manzar dikhā.ī detā hai
jo dil meñ baat ho khultī nahīñ kisī pe magar
kahe jo aañkh vo sab ko sunā.ī detā hai
maiñ iḳhtiyār tumheñ apnā sauñp duuñ kaise
kabhī ḳhudā bhī kisī ko ḳhudā.ī detā hai
udaas raat ke āñgan meñ Dūbtā saaya
bichhaḌne vaale kā paikar dikhā.ī detā hai
ḳhizāñ-mizāj hai vo chhoḌ do use 'ḳhāvar'
vo mausamoñ ke safar meñ judā.ī detā hai
Top Urdushayar.com