vo sañvar saktā hai ma.aqūl bhī ho saktā hai
merā andāza mirī bhuul bhī ho saktā hai
ab pas-e-abr hai jab abr se bāhar niklā
vo chamak saktā hai maqbūl bhī ho saktā hai
duur se dekhā hai nazdīk se bhī dekhūñgā
phuul sā lagtā hai jo phuul bhī ho saktā hai
aaj kī shab bhī sitāroñ ne agar saath diyā
dil jo be-kār hai mashġhūl bhī ho saktā hai
kyuuñ samajhtā huuñ ki aatā hai vo merī ḳhātir
sair us shaḳhs kā ma.amūl bhī ho saktā hai
taḳht tabdīl bhī ho saktā hai taḳhte meñ kabhī
apne ohde se vo māzūl bhī ho saktā hai
jāntā kaun thā 'ḳhāvar' vo daraḳhshāñ taarā
gir ke āñkhoñ se kabhī dhuul bhī ho saktā hai