baar baar ek hī nazzāra na dikhlāyā kar
baat dilkash bhī agar ho to na dohrāyā kar
log gir jaate haiñ miTTī ke gharoñdoñ kī tarah
is tarah bārish-e-dīdār na barsāyā kar
peḌ kā saayā nahīñ TuuTā huā patta huuñ
mujh ko jazbāt ke dariyā meñ na Thahrāyā kar
TuuT jaa.e na kisī roz tirā shīsh-mahal
yuuñ sar-e-rāh na dīvānoñ ko samjhāyā kar
mere ehsās ko ik phuul bahut hai 'ḳhāvar'
mere ehsās pe yuuñ sañg na barsāyā kar