un nigāhoñ ko ham-āvāz kiyā hai maiñ ne
tab kahīñ giit kā āġhāz kiyā hai maiñ ne
ḳhatm ho tā-ki sitāroñ kī ijāra-dārī
ḳhaak ko mā.il-e-parvāz kiyā hai maiñ ne
aap ko ik na.ī ḳhiffat se bachāne ke liye
chāndnī ko nazar-andāz kiyā hai maiñ ne
āsmānoñ kī taraf aur nahīñ dekhūñgā
ik na.e daur kā āġhāz kiyā hai maiñ ne
rūThe logoñ ko manāne meñ maza aatā hai
jaan kar aap ko nārāz kiyā hai maiñ ne
tum mujhe chhoḌ ke is tarah nahīñ jā sakte
is ta.alluq pe bahut naaz kiyā hai maiñ ne
vo jo sadiyoñ se yahāñ band paḌā thā dekho
shā.irī kā vahī dar baaz kiyā hai maiñ ne
sun ke mab.hūt huī jaatī hai duniyā saarī
sher likkhe haiñ ki ejaaz kiyā hai maiñ ne
ishq meñ naam kamānā koī āsān na thā
saare ahbāb ko nārāz kiyā hai maiñ ne
sirf logoñ ko batāne se tasallī na huī
chāñd tāroñ ko bhī hamrāz kiyā hai maiñ ne
aur bhī hoñge ka.ī chāhne vaale lekin
aap ke naam ko mumtāz kiyā hai maiñ ne
āsmānoñ se pare kartā hai ab jā ke shikār
tā.ir-e-dil ko vo shahbāz kiyā hai maiñ ne
shā.iroñ se jo tire baad kabhī ho na sakā
kaam vo hafiz-e-shīrāz kiyā hai maiñ ne