Khaqan Khavar

mohr ban kar jo main ek roz bhi ubhra hota

Khaqan Khavar

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935-2001
mohr ban kar jo maiñ ik roz bhī ubhrā hotā
barf kī tarah hai jo shaḳhs vo dariyā hotā
tujh se dilkash hai kahīñ tere tasavvur kā jahāñ
tū mire paas bhī hotā to maiñ tanhā hotā
apne māhaul ko har phuul ne mahkāyā hai
mujh ko honā thā kisī kā to maiñ apnā hotā
pūchhtā kaun hai siipī meñ chhape motī ko
jo tire dil meñ thā hoñToñ pe bhī aayā hotā
kis ne rakkhā hai mire sar pe kaḌī dhuup meñ haath
chhat jo hotī to mire ghar meñ bhī saayā hotā
yuuñ guzartā na tire sar se ye paanī 'ḳhāvar'
tū ne tūfān ko uThte hī jo rokā hotā
Top Urdushayar.com