sāhil pe ye TuuTe hue taḳhte jo paḌe haiñ
Takrā.e haiñ tūfāñ se talātum se laḌe haiñ
dil apnā jalāo shab-e-zulmat ke harīfo
kyā ġham hai charāġhoñ ke agar qaht paḌe haiñ
chaḌhne do abhī aur zarā vaqt kā sūraj
ho jā.eñge chhoTe yahī saa.e jo baḌe haiñ
manzil se palaT aa.e haiñ ham ahl-e-mohabbat
jo sañg-e-hidāyat the vo raste meñ khaḌe haiñ
haiñ masḳh-shuda chehre 'shahūd' aap se barham
ā.īna-sifat aap muqābil jo khaḌe haiñ