Alam Khursheed

zara si dhup zara si nami ke aane se

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
zarā sī dhuup zarā sī namī ke aane se
maiñ jī uThā huuñ zarā tāzgī ke aane se
udaas ho ga.e ik pal meñ shādmāñ chehre
mire laboñ pe zarā sī hañsī ke aane se
dukhoñ ke yaar bichhaḌne lage haiñ ab mujh se
ye sāneha bhī huā hai ḳhushī ke aane se
karaḳht hone lage haiñ bujhe hue lahje
mire mizāj meñ shā.istagī ke aane se
bahut sukūn se rahte the ham añdhere meñ
fasād paidā huā raushnī ke aane se
yaqīn hotā nahīñ shahr-e-dil achānak yuuñ
badal gayā hai kisī ajnabī ke aane se
maiñ rote rote achānak hī hañs paḌā 'ālam'
tamāsh-bīnoñ meñ sanjīdgī ke aane se
Top Urdushayar.com