Alam Khursheed

aalam jiwan khel-tamasha danai nadani hai

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
'ālam' jīvan khel-tamāsha dānā.ī nādānī hai
tab tak zinda rahte haiñ ham jab tak ik hairānī hai
aag havā aur miTTī paanī mil kar kaise rahte haiñ
dekh ke ḳhud ko hairāñ huuñ maiñ jaise ḳhvāb kahānī hai
āvāzoñ kā jañgal bhī hai sannāToñ kā sahrā bhī
ek taraf ābādī mujh meñ ek taraf vīrānī hai
is manzar ko āḳhir kyuuñ maiñ pahroñ taktā rahtā huuñ
uupar sākit chaTTāneñ haiñ tah meñ bahtā paanī hai
mere bachcho is ḳhitte meñ pyaar kī gañgā bahtī thī
dekho is tasvīr ko dekho ye tasvīr purānī hai
'ālam' mujh ko bīmārī hai niiñd meñ chalte rahne kī
rātoñ meñ bhī kab ruktā hai mujh meñ jo sailānī hai
Top Urdushayar.com