Alam Khursheed

tere KHayal ko zanjir karta rahta hun

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
tire ḳhayāl ko zanjīr kartā rahtā huuñ
maiñ apne ḳhvāb kī tābīr kartā rahtā huuñ
tamām rañg adhūre lage tire aage
so tujh ko lafz meñ tasvīr kartā rahtā huuñ
jo baat dil se zabāñ tak safar nahīñ kartī
usī ko sher meñ tahrīr kartā rahtā huuñ
dukhoñ ko apne chhupātā huuñ maiñ dafīnoñ sā
magar ḳhushī ko hama-gīr kartā rahtā huuñ
guzishta rut kā amiiñ huuñ na.e makān meñ bhī
purānī iiñT se ta.amīr kartā rahtā huuñ
mujhe bhī shauq hai duniyā ko zer karne kā
maiñ apne aap ko tasḳhīr kartā rahtā huuñ
zamīn hai ki badaltī nahīñ kabhī mehvar
maiñ kaisī kaisī tadābīr kartā rahtā huuñ
jo maiñ huuñ us ko chhupātā huuñ saare aalam se
jo maiñ nahīñ huuñ vo tash.hīr kartā rahtā huuñ
Top Urdushayar.com