Alam Khursheed

kyun aankhen band kar ke raste mein chal raha hun

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
kyuuñ āñkheñ band kar ke raste meñ chal rahā huuñ
kyā maiñ bhī rafta rafta patthar meñ Dhal rahā huuñ
chāroñ taraf haiñ shole ham-sā.e jal rahe haiñ
maiñ ghar meñ baiThā baiThā bas haath mal rahā huuñ
mere dhueñ se merī har saañs ghuT rahī hai
maiñ raah kā diyā huuñ aur ghar meñ jal rahā huuñ
āñkhoñ pe chhā gayā hai koī tilism shāyad
palkeñ jhapak rahā huuñ manzar badal rahā huuñ
tabdīliyoñ kā nashsha mujh par chaḌhā huā hai
kapḌe badal rahā huuñ chehra badal rahā huuñ
is faisle se ḳhush haiñ afrād ghar ke saare
apnī ḳhushī se kab maiñ ghar se nikal rahā huuñ
in pattharoñ pe chalnā aa jā.egā mujhe bhī
Thokar to khā rahā huuñ lekin sambhal rahā huuñ
kāñToñ pe jab chalūñgā raftār tez hogī
phūloñ bharī ravish par bach bach ke chal rahā huuñ
chashme kī tarah 'ālam' ash.ār phūTte haiñ
koh-e-girāñ kī sūrat meñ bhī ubal rahā huuñ
Top Urdushayar.com