kahīñ pe jism kahīñ par ḳhayāl rahtā hai
mohabbatoñ meñ kahāñ e'tidāl rahtā hai
falak pe chāñd nikaltā hai aur dariyā meñ
balā kā shor ġhazab kā ubaal rahtā hai
dayār-e-dil meñ bhī ābād hai koī sahrā
yahāñ bhī vajd meñ raqsāñ ġhazāl rahtā hai
chhupā hai koī fusūñ-gar sarāb āñkhoñ meñ
kahīñ bhī jaao usī kā jamāl rahtā hai
tamām hotā nahīñ ishq-e-nā-tamām kabhī
koī bhī umr ho ye lā-zavāl rahtā hai
visāl-e-jism kī sūrat nikal to aatī hai
diloñ meñ hijr kā mausam bahāl rahtā hai
ḳhushī ke laakh vasā.el ḳharīd lo 'ālam'
dil-e-shikasta magar pur-malāl rahtā hai