Alam Khursheed

dekh raha hai dariya bhi hairani se

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
dekh rahā hai dariyā bhī hairānī se
maiñ ne kaise paar kiyā āsānī se
nadī kināre pahroñ baiThā rahtā huuñ
kyā rishta hai merā bahte paanī se
har kamre se dhuup havā kī yaarī thī
ghar kā naqsha bigḌā hai nādānī se
ab sahrā meñ chain se soyā kartā huuñ
Dar lagtā thā bachpan meñ vīrānī se
dil pāgal hai roz pashemāñ hotā hai
phir bhī baaz nahīñ aatā man-mānī se
kam kam ḳharch karo varna ye jazbe bhī
be-vaq.at ho jaate haiñ arzānī se
apnā farz nibhānā ek ibādat hai
'ālam' ham ne sīkhā ik jāpānī se
Top Urdushayar.com