Alam Khursheed

dil badalne se na aflak badal jaane se

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
dil badalne se na aflāk badal jaane se
shahr badlā mirī poshāk badal jaane se
kis qadar ho ga.ī āsān hamārī mushkil
ek paimāna-e-idrāk badal jaane se
aaj bhī raqs hī karnā hai ishāroñ pe hameñ
fā.eda kuchh na huā chaak badal jaane se
rāsta ab bhī vahī hai mirī manzil bhī vahī
tez-rau maiñ huā pechāk badal jaane se
bhiiḌ baḌhne lagī hai mere bahī-ḳhvāhoñ kī
ik zarā sūrat-e-namnāk badal jaane se
niiñd aatī thī bahut farsh-e-zamīñ par mujh ko
ḳhvāb rūThe mirī imlāk badal jaane se
be-vatan maiñ huuñ magar ḳhush haiñ mire ghar vaale
itnā hāsil to huā ḳhaak badal jaane se
badlī badlī sī nazar aatī hai duniyā 'ālam'
bas mizāj-e-ḳhas-o-ḳhāshāk badal jaane se
Top Urdushayar.com