tah-ba-tah hai raaz koī aab kī tahvīl meñ
ḳhāmushī yuuñ hī nahīñ rahtī hai gahrī jhiil meñ
maiñ ne bachpan meñ adhūrā ḳhvāb dekhā thā koī
aaj tak masrūf huuñ us ḳhvāb kī takmīl meñ
har ghaḌī ahkām jaarī kartā rahtā hai ye dil
haath bāñdhe maiñ khaḌā huuñ hukm kī ta.amīl meñ
kab mirī marzī se koī kaam hotā hai tamām
har ghaḌī rahtā huuñ maiñ kyuuñ be-sabab tājīl meñ
māñgtī hai ab mohabbat apne hone kā subūt
aur maiñ jaatā nahīñ iz.hār kī tafsīl meñ
mudda.ā terā samajh letā huuñ terī chaal se
tū pareshāñ hai abas alfāz kī tāvīl meñ
apnī ḳhātir bhī to 'ālam' chiiz rakhnī thī koī
ab kahāñ kuchh bhī bachā hai terī is zambīl meñ