mire hisār se bāhar bulā rahā hai mujhe
koī hasīn sā manzar bulā rahā hai mujhe
jahāñ muqīm thā maiñ ek ajnabī kī tarah
vahī makān ab aksar bulā rahā hai mujhe
jo thak ke baiTh gayā huuñ maiñ biich raste meñ
to ab vo miil kā patthar bulā rahā hai mujhe
huā hai tishna-labī se muāhida merā
abas hī roz samundar bulā rahā hai mujhe
bujhā diye haiñ usī ne ka.ī charāġh mire
jo ek sham.a jalā kar bulā rahā hai mujhe
vo jāntā hai maiñ us ke sitam kā ḳhūgar huuñ
so baar baar sitamgar bulā rahā hai mujhe
bulā rahā hai to khul kar kabhī bulā.e vo
bas ik ishāre se aksar bulā rahā hai mujhe
dayār-e-ġhair meñ rahtā huuñ maiñ magar 'ālam'
har ek lamha mirā ghar bulā rahā hai mujhe