kabhī maiñ zikr karūñ din kī shādmānī kā
fasāna ḳhatm to ho shab kī sargirānī kā
simaT ke aa gayā qadmoñ meñ kis tarah sahrā
sunā thā shor bahut us kī be-karānī kā
ajab nahīñ ki na.e rāste nikal aa.eñ
kisī ne rāsta rokā hai bahte paanī kā
tamām ahl-e-zabāñ bātiloñ ke haq meñ haiñ
mujhe malāl nahīñ apnī be-zabānī kā
jo baat kahnī thī ab tak kahī nahīñ maiñ ne
maiñ iḳhtitām karūñ kaise is kahānī kā
ḳhudā samajhtā hai ḳhud ko yahāñ jo aatā hai
ajiib haal hai 'ālam' sarā-e-fānī kā