Alam Khursheed

bas ek tere KHwab se inkar nahin hai

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959

bas ek tire ḳhvāb se inkār nahīñ hai

dil varna kisī shai talabgār nahīñ hai

āñkhoñ meñ hasīñ ḳhvāb to haiñ aaj bhī lekin

ta.abīr se ab koī sarokār nahīñ hai

dariyā se abhī tak hai vahī rabt hamārā

kashtī meñ hamārī koī patvār nahīñ hai

hairat se na.e shahr ko maiñ dekh rahā huuñ

dīvār to hai sāya-e-dīvār nahīñ hai

is bazm raunaq to zarā ġhaur se dekho

lagtā hai yahāñ koī dil-āzār nahīñ hai

aa.e ho numā.ish meñ zarā dhyān bhī rakhnā

har shai jo chamaktī hai chamakdār nahīñ hai

kyuuñ itnā hameñ apnī mohabbat pe yaqīñ hai

duniyā to mohabbat parastār nahīñ hai

Top Urdushayar.com