Alam Khursheed

bah raha tha ek dariya KHwab mein

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
bah rahā thā ek dariyā ḳhvāb meñ
rah gayā maiñ phir bhī tishna ḳhvāb meñ
jī rahā huuñ aur duniyā meñ magar
dekhtā huuñ aur duniyā ḳhvāb meñ
is zamīñ par tū nazar aatā nahīñ
bas gayā hai jo sarāpā ḳhvāb meñ
roz aatā hai mirā ġham bāñTne
āsmāñ se ik sitāra ḳhvāb meñ
muddatoñ se dil hai us kā muntazir
koī va.ada kar gayā thā ḳhvāb meñ
kyā yaqīñ aa jā.egā us shaḳhs ko
us kī bābat jo bhī dekhā ḳhvāb meñ
ek bastī hai jahāñ ḳhush haiñ sabhī
dekh letā huuñ maiñ kyā kyā ḳhvāb meñ
asl duniyā meñ tamāshe kam haiñ kyā
kyuuñ nazar aa.e tamāsha ḳhvāb meñ
khol kar āñkheñ pashemāñ huuñ bahut
kho gayā jo kuchh milā thā ḳhvāb meñ
kyā huā hai mujh ko 'ālam' in dinoñ
maiñ ġhazal kahtā nahīñ thā ḳhvāb meñ
Top Urdushayar.com