Alam Khursheed

jab tak khuli nahin thi asrar lag rahi thi

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
jab tak khulī nahīñ thī asrār lag rahī thī
ye zindagī mujhe bhī dushvār lag rahī thī
mujh par jhukī huī thī phūloñ kī ek Daalī
lekin vo mere sar par talvār lag rahī thī
chhūte hī jaane kaise qadmoñ meñ aa girī vo
jo fāsle se ūñchī dīvār lag rahī thī
shahroñ meñ aa ke kaise āhista-rau huā maiñ
sahrā meñ tez apnī raftār lag rahī thī
lahroñ ke jāgne par kuchh bhī na kaam aa.ī
kyā chiiz thī jo mujh ko patvār lag rahī thī
ab kitnī kār-āmad jañgal meñ lag rahī hai
vo raushnī jo ghar meñ bekār lag rahī thī
TuuTā huā hai shāyad vo bhī hamāre jaisā
āvāz us kī jaise jhankār lag rahī thī
'ālam' ġhazal meñ Dhal kar kyā ḳhuub lag rahī hai
jo Tiis mere dil kā āzār lag rahī thī
Top Urdushayar.com