Alam Khursheed

har ghar mein koi tah-KHana hota hai

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
har ghar meñ koī tah-ḳhāna hotā hai
tah-ḳhāne meñ ik afsāna hotā hai
kisī purānī almārī ke ḳhānoñ meñ
yādoñ kā anmol ḳhazāna hotā hai
raat ga.e aksar dil ke vīrānoñ meñ
ik saa.e kā aanā jaanā hotā hai
baḌhtī jaatī hai bechainī nāḳhun kī
jaise jaise zaḳhm purānā hotā hai
dil rotā hai chehrā hañstā rahtā hai
kaisā kaisā farz nibhānā hotā hai
zinda rahne kī ḳhātir in āñkhoñ meñ
koī na koī ḳhvāb sajānā hotā hai
tanhā.ī kā zahr to vo bhī piite haiñ
jin logoñ ke saath zamāna hotā hai
sahrā se bastī meñ aa kar bhed khulā
dil ke andar hī vīrāna hotā hai
sarmastī meñ yaad nahīñ rakhtā koī
bazm se uTh kar vāpas jaanā hotā hai
Top Urdushayar.com