ek ajab sī duniyā dekhā kartā thā
din meñ bhī maiñ sapnā dekhā kartā thā
ek ḳhayāl-ābād thā mere dil meñ bhī
ḳhud ko maiñ shahzāda dekhā kartā thā
sabz parī kā uḌan-khaTolā har lamhe
apnī jānib aatā dekhā kartā thā
uḌ jaatā thā ruup badal kar chiḌiyoñ ke
jañgal sahrā dariyā dekhā kartā thā
hiire jaisā lagtā thā ik ik patthar
har miTTī meñ sonā dekhā kartā thā
koī nahīñ thā tishna registānoñ meñ
har sahrā meñ dariyā dekhā kartā thā
har jānib hariyālī thī ḳhush-hālī thī
har chehre ko hañstā dekhā kartā thā
bachpan ke din kitne achchhe hote haiñ
sab kuchh hī maiñ achchhā dekhā kartā thā
aañkh khulī to saare manzar ġhā.eb haiñ
band āñkhoñ se kyā kyā dekhā kartā thā