na.e sire se koī safar āġhāz nahīñ kartā
jaane kyuuñ ab dil merā parvāz nahīñ kartā
kitnī burī aadat hai maiñ ḳhāmosh hī rahtā huuñ
jab tak mujh se koī suḳhan āġhāz nahīñ kartā
kaise zinda rahtā huuñ maiñ zahr ko pī kar ab
dīvār-o-dar ko bhī to hamrāz nahīñ kartā
taaza havā ke jhoñke aksar aate rahte haiñ
āḳhir kyuuñ maiñ apne darīche baaz nahīñ kartā
jaane kaisā raag bajānā siikh liyā dil ne
merī sañgat ab koī dam-sāz nahīñ kartā
ahl-e-hunar kī āñkhoñ meñ kyuuñ chubhtā rahtā huuñ
maiñ to apnī be-hunarī par naaz nahīñ kartā
mujh meñ kuchh hogā to duniyā ḳhud jhuk jā.egī
maiñ neze par sar apnā afrāz nahīñ kartā
vaqt ke saare chakkar haiñ ye 'ālam'-jī varna
yahāñ kisī ko koī nazar-andāz nahīñ kartā