khaḌe haiñ der se ahbāb dekhne ke liye
mirā safīna tah-e-āb dekhne ke liye
khulī jo aañkh to ham Dūbte nazar aa.e
ga.e the duur se girdāb dekhne ke liye
abas pareshāñ haiñ ta.abīr kī tag-o-dau meñ
milī hai niiñd hameñ ḳhvāb dekhne ke liye
taras rahī hai mire dasht kī fazā kab se
kisī daraḳht ko shādāb dekhne ke liye
uḌaan bharne lage haiñ tuyūr-o-tayyāre
qarīb-o-dūr se sailāb dekhne ke liye
sunā hai maiñ ne havā.eñ bhī be-qarār haiñ ab
mire diye ko zafar-yāb dekhne ke liye
nazar jhukā.e khaḌī haiñ aqīdateñ 'ālam'
shikast-e-gumbad-o-mehrāb dekhne ke liye