ham ko lutf aatā hai ab fareb khāne meñ
āzmā.eñ logoñ ko ḳhuub āzmāne meñ
do-ghaḌī ke sāthī ko ham-safar samajhte haiñ
kis qadar purāne haiñ ham na.e zamāne meñ
tere paas aane meñ aadhī umr guzrī hai
aadhī umr guzregī tujh se uub jaane meñ
ehtiyāt rakhne kī koī had bhī hotī hai
bhed hamīñ ne khole haiñ bhed ko chhupāne meñ
zindagī tamāshā hai aur is tamāshe meñ
khel ham bigāḌeñge khel ko banāne meñ