Alam Khursheed

jama hua hai falak pe kitna ghubar mera

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
jamā huā hai falak pe kitnā ġhubār merā
jo mujh pe hotā nahīñ hai raaz āshkār merā
tamām duniyā simaT na jaa.e mirī hadoñ meñ
ki had se baḌhne lagā hai ab intishār merā
dhuāñ sā uThtā hai kis jagah se maiñ jāntā huuñ
jalātā rahtā hai mujh ko har pal sharār merā
badal rahe haiñ sabhī sitāre madār apnā
mire junūñ pe Tikā hai dār-o-madār merā
kisī ke raste pe kaise nazreñ jamā.e rakkhūñ
abhī to karnā mujhe hai ḳhud intizār merā
tirī itā.at qubūl kar luuñ bhalā maiñ kaise
ki mujh pe chaltā nahīñ hai ḳhud iḳhtiyār merā
bas ek pal meñ kisī samundar meñ jā girūñgā
abhī sitāroñ meñ ho rahā hai shumār merā
Top Urdushayar.com