Alam Khursheed

zawal mein bhi raha dil-nashin nazara mera

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
zavāl meñ bhī rahā dil-nashīñ nazāra mirā
mire hī saath girā TuuT ke sitāra mirā
kisī pe ramz mirī baat kī khulī hī nahīñ
na kaam aayā mire koī isti.āra mirā
yaqīñ kisī ko na aayā maiñ Duub saktā huuñ
samajh rahe the agarche sabhī ishāra mirā
nadī kī tarah kināra bhī kāTtā huuñ maiñ
kisī hisār meñ hotā nahīñ guzāra mirā
ye baat jaan ke hairat nahīñ huī mujh ko
ki merī aag se raushan rahā sitāra mirā
na rok paa.ī mujhe maujoñ kī koī sāzish
ravāñ-davāñ hai abhī jhiil meñ shikārā mirā
abhī se samt badalne lagā maiñ kyuuñ 'ālam'
abhī to duur bahut duur hai kinārā mirā
Top Urdushayar.com