Alam Khursheed

kis lamhe hum tera dhyan nahin karte

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
kis lamhe ham terā dhyān nahīñ karte
haañ koī ahd-o-paimān nahīñ karte
har dam terī maalā japte haiñ lekin
galiyoñ kūchoñ meñ elaan nahīñ karte
apnī kahānī dil meñ chhupā kar rakhte haiñ
duniyā vāloñ ko hairān nahīñ karte
ik kamre ko band rakhā hai barsoñ se
vahāñ kisī ko ham mehmān nahīñ karte
ik jaisā dukh mil kar bāñTā karte haiñ
ik duuje par ham ehsān nahīñ karte
kuchh raste mushkil hī achchhe lagte haiñ
kuchh rastoñ ko ham āsān nahīñ karte
raste meñ jo miltā hai mil lete haiñ
achchhe bure kī ab pahchān nahīñ karte
jī kartā hai bhālū bandar naam rakheñ
kaun sī vahshat ham insān nahīñ karte
'ālam' us ke phuul to kab ke suukh ga.e
kyuuñ taaza apnā gul-dān nahīñ karte
Top Urdushayar.com