aur ik shahr hai kyā shahr-e-gumāñ se aage
ham ko jaanā hai bahut duur yahāñ se aage
gardish-e-pā kisī manzil pe Thahartī hī nahīñ
dil magar baḌhtā nahīñ kū-e-butāñ se aage
gūñjtī rahtī haiñ sāhil kī sadā.eñ har-dam
ham ne dekhā hī nahīñ mauj-e-ravāñ se aage
mudda.ā apnā kisī shaḳhs pe zāhir na huā
koī jaatā hī nahīñ tarz-e-bayāñ se aage
zaḳhm qaa.el hoñ bhalā chāragarī ke kaise
saf-e-dushman hai saf-e-chāra-garāñ se aage
be-sabab ham se ḳhafā ho ga.ī duniyā 'ālam'
ham ne likkhā hai kahāñ qissa-e-jāñ se aage