Alam Khursheed

hamesha dil mein rahta hai kabhi goya nahin jata

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
hamesha dil meñ rahtā hai kabhī goyā nahīñ jaatā
jise paayā nahīñ jaatā use khoyā nahīñ jaatā
kuchh aise zaḳhm haiñ jin ko sabhī shādāb lagte haiñ
kuchh aise daaġh haiñ jin ko kabhī dhoyā nahīñ jaatā
ajab sī guuñj uThtī dar-o-dīvār se har-dam
ye ḳhvāboñ kā ḳharāba hai yahāñ soyā nahīñ jaatā
bahut hañsne kī aadat kā yahī anjām hotā hai
ki ham ronā bhī chāheñ to kabhī royā nahīñ jaatā
Top Urdushayar.com