Alam Khursheed

waqt se pahle daraKHton pe samar aane lage

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
vaqt se pahle daraḳhtoñ pe samar aane lage
raat aa.ī bhī nahīñ ḳhvāb-e-sahar aane lage
maiñ ne pahlā hī qadam rakkhā hai dariyā meñ abhī
ḳhair-maqdam ke liye kitne bhañvar aane lage
kyā ḳhatā ho ga.ī sarzad maiñ isī soch meñ huuñ
sañg ke badle mirī samt guhar aane lage
is liye zill-e-ilāhī se ḳhafā haiñ rāteñ
un ke aivān meñ kyuuñ ḳhāk-basar aane lage
aap kuchh aur haiñ āshiq ise kahte haiñ miyāñ
jis ko har chiiz meñ mahbūb nazar aane lage
ḳhair māñgeñ kisī dushman ke liye ab 'ālam'
ain mumkin hai duāoñ meñ asar aane lage
Top Urdushayar.com