Alam Khursheed

hamein apni masafat be-maza karna nahin hai

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
hameñ apnī masāfat be-maza karnā nahīñ hai
safar karnā hai manzil kā pata karnā nahīñ hai
balā se ham kisī sāhil pe pahuñcheñ yā na pahuñcheñ
kisī bhī nāḳhudā ko ab ḳhudā karnā nahīñ hai
havāoñ se hī qaa.em hai hamārī zau-fishānī
havāoñ se charāġhoñ ko judā karnā nahīñ hai
badalte vaqt ke tevar parakhnā chāhte haiñ
kahā kis ne buzurgoñ kā kahā karnā nahīñ hai
tumhīñ zāmin ho merī zindagī ke mere ḳhvābo
tumheñ ik pal bhī āñkhoñ se rihā karnā nahīñ hai
ka.ī āshufta-sar mil jā.eñge raste meñ 'ālam'
kisī ke vāste ham ko sadā karnā nahīñ hai
Top Urdushayar.com