koī mausam na kabhī kar sakā shādāb hameñ
shahr meñ jiine ke aa.e nahīñ ādāb hameñ
bahte dariyā meñ koī aks Thahartā hī nahīñ
yaad aatā hai bahut gaañv kā tālāb hameñ
is tarah pyaas bujhā.ī hai kahāñ dariyā ne
ek qatre ne kiyā jis tarah sairāb hameñ
jhilmilī raushnī har-samt nazar aatī hai
khīñchtī hai koī qindīl tah-e-āb hameñ
kyā pata kaun se janmoñ kā hai rishta apnā
DhūñD hī lete haiñ har bahr meñ girdāb hameñ
din ulaT detā hai har ḳhvāb kī ta.abīr magar
raat dikhlātī hai phir koī nayā ḳhvāb hameñ
be-amāñ ham jo hue haiñ to hameñ yaad aayā
roz dete the sadā mimbar-o-mehrāb hameñ
kaash ma.alūm ye pahle hameñ hotā 'ālam'
dekhnā chāhtā thā vo bhī zafar-yāb hameñ