maiñ jis jagah bhī rahūñgā vahīñ pe aa.egā
mirā sitāra kisī din zamīñ pe aa.egā
lakīr khīñch ke baiThī hai tishnagī mirī
bas ek zid hai ki dariyā yahīñ pe aa.egā
muhīb saa.e baḌhe aate haiñ hamārī taraf
kab e'tibār hameñ dūr-bīñ pe aa.egā
ab is adā se havā.eñ diye bujhā.eñgī
ki ittihām bhī ḳhāna-nashīñ pe aa.egā
kamān-e-vaqt ne ham ko hadaf banāyā hai
kahīñ se tiir chalegā hamīñ pe aa.egā
uḌā rahā huuñ ġhubāra magar ḳhabar hai mujhe
zarā sī der meñ vāpas zamīñ pe aa.egā