har ghaḌī ik yahī ehsās-e-ziyāñ rahtā hai
aag raushan thī jahāñ sirf dhuāñ rahtā hai
ḳhatm hotā hī nahīñ dasht kā ab sannāTā
koī mausam ho yahāñ ek samāñ rahtā hai
aa ga.ī raas mire dil kī udāsī shāyad
itnī muddat bhī kahīñ daur-e-ḳhizāñ rahtā hai
phuul khilte haiñ to murjhā.e hue lagte haiñ
ik ajab ḳhauf sar-e-shāḳh-e-gumāñ rahtā hai
saaz ke taar haiñ TuuTe hue mutrib chup haiñ
ab fazāoñ meñ faqat shor-e-sagāñ rahtā hai
rāsta chalte hue log ThiThak jaate haiñ
har-qadam jaise tah-e-sañg-e-garāñ rahtā hai
maiñ bhī ruk jā.ūñ magar ruk nahīñ paatā 'ālam'
ek dariyā sā sadā mujh meñ ravāñ rahtā hai