aatā hai nazar aur hī manzar hai koī aur
kyā mahv-e-tamāshā mire andar hai koī aur
tabdīl huī kaise har ik ghar kī virāsat
dar par hai koī naam pas-e-dar hai koī aur
nazzāra kahāñ aisā kisī dasht meñ dekhā
paañv to kisī ke haiñ magar sar hai koī aur
uljhī hai magar tishna-labī tishna-labī se
ye baat alag hai ki samundar hai koī aur